jab zara tez hawa hoti hai

By nasir-kazmiNovember 10, 2020
jab zara tez hawa hoti hai
kaisi sunsan faza hoti hai
hum ne dekhe hain wo sannate bhi
jab har ek sans sada hoti hai


dil ka ye haal hua tere baad
jaise viran sara hoti hai
rona aata hai hamein bhi lekin
is mein tauhin-e-wafa hoti hai


munh-andhere kabhi uth kar dekho
kya tar o taza hawa hoti hai
ajnabi dhyan ki har mauj ke sath
kis qadar tez hawa hoti hai


gham ke be-nur guzargahon mein
ek kiran zauq-faza hoti hai
gham-gusar-e-safar-e-rah-e-wafa
mizha-e-abla-pa hoti hai


gulshan-e-fikr ki munh-band kali
shab-e-mahtab mein wa hoti hai
jab nikalti hai nigar-e-shab-e-gul
munh pe shabnam ki rida hoti hai


hadsa hai ki khizan se pahle
bu-e-gul gul se juda hoti hai
ek naya daur janam leta hai
ek tahzib fana hoti hai


jab koi gham nahin hota 'nasir'
bekali dil ki siwa hoti hai
84227 viewsghazalEnglish