jabin-e-shauq itni to sharik-e-kar ho jae jahan sajda karun main aastan-e-yar ho jae saba barham agar zulf-e-daraaz-e-yar ho jae qayamat karwaten leti hui bedar ho jae bana do jis ko tum majbur wo majbur ban jae jise mukhtar tum kah do wahi mukhtar ho jae tujhe malum kya ai khwab-e-hasti dekhne wale wahi hasti hai hasti jo nisar-e-yar ho jae jo ho jae yaqin aaenge wo rasm-e-ayaadat ko na ho bimar bhi koi to wo bimar ho jae guzar jae hudud-e-marifat se talib-e-jalwa jo be-parda kisi saat jamal-e-yar ho jae hukumat hai junun par hast mansha tere wahshi ki abhi diwana ban jae abhi hoshyar ho jae faqat itni itaat chahti hai rahmat-e-yari ki insan ko gunah ka apne bas iqrar ho jae isi ko kaamyab-e-did kahte hain nazar wale wo aashiq jo halak-e-hasrat-e-didar ho jae na hogi khatm phir bhi kashmakash shaikh-o-barahman ki agar ham-rishta-e-tasbih bhi zunnar ho jae samajh lena wahin umr-e-rawan ki aakhiri manzil jahan par khatm 'afqar' justuju-e-yar ho jae