jada-e-ulfat ka ye sabr-azma aalam na puchh
By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
jada-e-ulfat ka ye sabr-azma 'alam na puchh
har qadam par gham ki manzil ke siwa kuchh bhi nahin
yun tasawwur ne badhae hausle tufan mein
jaise har ek mauj-e-sahil ke siwa kuchh bhi nahin
un ki khalwat-gah bhi hai un ki jalwat-gah bhi
wus’at-e-kaunain mein dil ke siwa kuchh bhi nahin
zarre zarre mein hain ranga-rang bazm-araiyan
donon 'alam teri mahfil ke siwa kuchh bhi nahin
bas ajal ke ba'd milti hai hayat-e-jawedan
zindagi ek naqsh-e-baatil ke siwa kuchh bhi nahin
shikwa-e-be-chaargi 'maikash' kisi se kyon karen
'ishq to mahrumi-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin

21439 viewsghazal • English