jaen kahan hum aap ka arman liye hue dard-e-firaq-o-kawish-e-hijran liye hue in aansuon ki tum ko haqiqat bataen kya aankhen hain meri shaukat-e-tufan liye hue ranj-e-firaq bhi hai nashat-e-visal bhi hun sath sath dard ke darman liye hue aasan nahin visal to dushwar bhi nahin mushkil mein hun ye mushkil-e-asan liye hue rahmat ne lut lut liya mujh ko hashr mein pahuncha jo main bizaat-e-isyan liye hue yarab ho khair aamad-e-fasl bahaar ki dast-e-junun hai chaak-e-gareban liye hue 'najmi' hamari chashm-e-basirat ke waste hai gul ki pankhudi bhi gulistan liye hue