jafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
By muneer-niyaziNovember 9, 2020
jafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
wafaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
bahaaren der tak rahti hain kam aabaad qariyon mein
khizaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
sada hansne ki ho afsos ki ya aah bharne ki
sadaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
andhera jab ghana ho to charagh-e-rah-e-viran ki
shuaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein
'munir' aabaad shahron ke makinon ki hawa le kar
hawaen dur tak jati hain kam aabaad shahron mein

93912 viewsghazal • English