jag ke hain haalat kathin mat rakhiye jazbaat kathin sukhe hain talab nadi aai hai barsat kathin chain se bachche soenge guzar gae auqat kathin holi ho ya eid ka din hoti hai ek baat kathin munsif mujrim qatil chor sab ke hain barkat kathin har shab tauba karte hain jin ki hain aadat kathin 'shamsi' tare gin gin ke katte hain lamhat kathin