jag uthe baam-o-dar charagh jale kaun aaya idhar charagh jale din ki pamal fikr ko hai shart teri jaanib safar charagh jale zulf-e-tufan se yun bhi chhed sahi wo bujhae idhar charagh jale din mein wo jism hai junun-afroz ek qayamat magar charagh jale waiz-o-mohtasib bhi jam-ba-lab hum ko aae nazar charagh jale aakhir-e-shab dilon pe hai bhaari ham-nafas ta sahar charagh jale sarguzasht-e-wafa hai tulani bas yahi mukhtasar charagh jale aaj mehman hai ek shab-afroz aarzuon ka har charagh jale zindagi shab-charagh hai 'saifi' ab raqibon ke ghar charagh jale