jagi raaton ka etibar kahan
By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
jagi raaton ka e'tibar kahan
mujh ko khwabon pe ikhtiyar kahan
nind bistar pe jagi rahti hai
dil ka jaane gaya qarar kahan
raqs parwane ka hai nazron mein
sham' ka koi raazdar kahan
bante bante banegi baat kabhi
abhi us ko hai mujh se pyar kahan
muskurahat bikher do tum to
gham bhi hota hai sazgar kahan
ab nahin aati us ki yaad mujhe
meri aankhen hain ashk-bar kahan
zindagi tez-rau mein chalti hai
koi karta hai intizar kahan
ek 'adat si ho gai un ki
ab mohabbat mein wo khumar kahan
din dhale chandni utarti hai
shahr ki sham rang-zar kahan
dil ke rishte 'ajib hote hain
hai magar dil bhi jaankar kahan
chaar din zindagi ke kafi hain
dil ko aana hai bar-bar kahan
mujh ko khwabon pe ikhtiyar kahan
nind bistar pe jagi rahti hai
dil ka jaane gaya qarar kahan
raqs parwane ka hai nazron mein
sham' ka koi raazdar kahan
bante bante banegi baat kabhi
abhi us ko hai mujh se pyar kahan
muskurahat bikher do tum to
gham bhi hota hai sazgar kahan
ab nahin aati us ki yaad mujhe
meri aankhen hain ashk-bar kahan
zindagi tez-rau mein chalti hai
koi karta hai intizar kahan
ek 'adat si ho gai un ki
ab mohabbat mein wo khumar kahan
din dhale chandni utarti hai
shahr ki sham rang-zar kahan
dil ke rishte 'ajib hote hain
hai magar dil bhi jaankar kahan
chaar din zindagi ke kafi hain
dil ko aana hai bar-bar kahan
87652 viewsghazal • English