jagmagate hue naginon ne
By rana-khalid-mahmood-qaiserFebruary 28, 2024
jagmagate hue naginon ne
dard paida kiya hasinon ne
meri basti ko kar diya viran
shahr aabaad ke makinon ne
saf nikla hun ku-e-jaanan se
mar dala tamash-binon ne
kitne sailab dub jaane par
gharq-e-dariya kiye safinon ne
hasraton ke waqar ko toda
bazm-e-adab ke qarinon ne
'azmat-e-dar 'azim hai lekin
nam paida kiya jabinon ne
aazmaish ke waste 'qaisar'
aaina le liya hasinon ne
dard paida kiya hasinon ne
meri basti ko kar diya viran
shahr aabaad ke makinon ne
saf nikla hun ku-e-jaanan se
mar dala tamash-binon ne
kitne sailab dub jaane par
gharq-e-dariya kiye safinon ne
hasraton ke waqar ko toda
bazm-e-adab ke qarinon ne
'azmat-e-dar 'azim hai lekin
nam paida kiya jabinon ne
aazmaish ke waste 'qaisar'
aaina le liya hasinon ne
14683 viewsghazal • English