jahan ahd-e-tamanna khatm ho jae azab-e-jawedani zindagi hai rulati hai mujhe kyun chandni raat yahi ek raaz meri zindagi hai khalish ho dard ho kahish ho kuchh ho faqat jina bhi koi zindagi hai halak-anjam takmil-e-tamanna baqa-e-arzu hi zindagi hai jigar mein tis lab hansne pe majbur kuchh aisi hi hamari zindagi hai wo chahe jis qadar bhi mukhtasar ho mohabbat ki jawani zindagi hai umiden mar chukin main ji raha hun ajab be-ikhtiyari zindagi hai jawani aur hangamon se khali ye jina hai ye koi zindagi hai guzari thin khushi ki chand ghadiyan unhin ki yaad meri zindagi hai mohabbat donon jaanib se mohabbat na puchho aah kaisi zindagi hai