jahan badalne ka wo bhi guman rakhte hain
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
jahan badalne ka wo bhi guman rakhte hain
jo ghar ke naqshe mein pahle dukan rakhte hain
hum apne jism mein rakhte hain ek zamin ki mahak
hum apni ruh mein ek aasman rakhte hain
mere khuda ne wo dushman mujhe nasib kiye
jo apne tir se chhoti kaman rakhte hain
kisi ki nim-nigahi se jalne lagta hai
wo jis charagh mein hum apni jaan rakhte hain
'abas hai un se tawaqqo' koi zamane mein
jo log nashshe mein bhi apna dhyan rakhte hain
har anjuman mein alag se dikhai dete hain
koi faza ho hum apni udan rakhte hain
hamein kisi shajar-e-rah par bharosa nahin
kisi ki zulf ko hum saeban rakhte hain

14147 viewsghazal • English