jahan-e-fikr-o-nazar ka sabaat le ke gaya wo sirf dil hi nahin kaenat le ke gaya wo ahd-e-rafta wo ulfat wo ehtiram-e-wafa gaya to sath mein sari sifat le ke gaya bhatak rahe the sarab-e-nazar liye har-su shuur-e-ishq jahan dil ko sath le ke gaya main sirf us ko taghaful kahun to kaise kahun gaya to sath mein har iltifat le ke gaya ghurur le ke mara ikhtiyar-e-hasti ka tu apni fikr-e-hayat-o-mamat le ke gaya lahad wahi hai magar aa chuke nae murde to waqt lash ki sab baqiyat le ke gaya zamir bechne wale wo tera sauda-gar zamir hi nahin zat o sifat le ke gaya wo aur kuchh bhi na rakhta tha jism o jaan ke siwa suna 'shahid' mata-e-hayat le ke gaya