jahan-e-ghuncha-e-dil ka faqat chatakna tha usi ki bu-e-pareshan wajud-e-duniya tha ye kah ke kal koi be-ikhtiyar rota tha wo ek nigah sahi kyun kisi ko dekha tha tanaben kucha-e-qatil ki khinchti jati thin shahid-e-tegh-e-ada mein bhi zor kitna tha bas ek jhalak nazar aai ude kalim ke hosh bas ek nigah hui khak tur-e-sina tha har ek ke hath faqat ghaflaten thin hosh-numa ki apne aap se begana-war jina tha yahi hua ki fareb-e-umid-o-yas mite wo pa gae tere hathon hamein jo pana tha chaman mein ghuncha-e-gul khilkhila ke murjhae yahi wo the jinhen hans hans ke jaan dena tha nigah-e-mehr mein jis ki hain sad payam-e-fana usi ka aalam-e-ijad-o-naz beja tha jahan tu jalwa-numa tha larazti thi duniya tere jamal se kaisa jalal paida tha hayat-o-marg ke kuchh raaz khul gae honge fasana-e-shab-e-gham warna dosto kya tha shab-e-adam ka fasana gudaz sham-e-hayat siwae kaif-e-fana mera majra kya tha kuchh aisi baat na thi tera dur ho jaana ye aur baat ki rah rah ke dard uthta tha na puchh sud-o-ziyan karobar-e-ulfat ke wagarna yun to na pana tha kuchh na khota tha lagawten wo tere husn-e-be-niyaz ki aah main teri bazm se jab na-umid uttha tha tujhe hum ai dil-e-dard-ashna kahan dhunden hum apne hosh mein kab the koi jab uttha tha adam ka raaz sada-e-shikast saz-e-hayat hijab-e-zist bhi kitna latif parda tha ye iztirab-o-sukun bhi thi ek fareb-e-hayat ki apne haal se begana-war jina tha kahan pe chuk hui tere be-qararon se zamana dusri karwat badalne wala tha ye koi yaad hai ye bhi hai koi mahwiyyat tere khayal mein tujh ko bhi bhul jaana tha kahan ki chot ubhar aai husn-e-taban mein dam-e-nazara wo rukh dard sa chamakta tha na puchh ramz-o-kinayat chashm-e-saqi ke bas ek hashr-e-khamosh anjuman mein barpa tha chaman chaman thi gul-e-dagh-e-ishq se hasti usi ki nikhat-e-barbaad ka zamana tha wo tha mera dil-e-khun-gashta jis ke mitne se bahaar-e-bagha-e-jinan thi wajud-e-duniya tha qasam hai baada-kasho chashm-e-mast-e-saqi ki batao hath se kya jam-e-mai sambhalta tha visal us se main chahun kahan ye dil mera ye ro raha hun ki kyun us ko main ne dekha tha umid yas bani yas phir umid bani us ek nazar mein fareb-e-nigah kitna tha ye soz-o-saz-e-nihan tha wo soz-o-saz-e-ayan visal-o-hijr mein bas farq tha to itna tha shikast-e-saz-e-chaman thi bahaar-e-lala-o-gul khizan machalti thi ghuncha jahan chatakta tha har ek sans hai tajdid-e-yaad-e-ayyami guzar gaya wo zamana jise guzarna tha na koi wada na koi yaqin na koi umid magar hamein to tera intizar karna tha kisi ke sabr ne be-sabr diya sab ko 'firaq' naza mein karwat koi badalta tha