jahan-e-wahshat ke kar-KHane mein kaun kar-e-junun karega

By asif-bilalJanuary 2, 2024
jahan-e-wahshat ke kar-khane mein kaun kar-e-junun karega
hamare jaane ke ba'd bhi kya koi faza nilgun karega
ye apne kheme ka ek bimar aadmi hai jo bediyon mein
tumhaari aankhen baras padengi bayan jo haal-e-darun karega


bas ek chhote se nim qasbe ka rahne wala 'ajib ladka
kise khabar thi ki waqt ke baadshah ka sar nigun karega
koi to hoga ki jis pe ek din ye raaz-e-kaun-o-makan khulega
hum aise majnun pe sab se pahle wo aashkar-e-fusun karega


guzarte mausam ke sath zakhm-e-jigar bhi nasur ho raha hai
wo ek bar apne hath phere ye raushni jun ka tun karega
main dasht mein nim-shab ko aakhir batao rahwar rokta kyon
ye jaanta gar ki mera dushman bhi aaj hi mera khun karega


wo ek budha shajar bhi 'asif' khizan-rasida hi ho raha hai
ye waqt ki tez dhup aakhir kahan talak pur-sukun karega
67043 viewsghazalEnglish