jahan gham mila uThaya phir use ghazal mein Dhaala
By kaleem-aajizNovember 3, 2020
jahan gham mila uthaya phir use ghazal mein dhaala
yahi dard-e-sar kharida yahi rog hum ne pala
tere hath se mili hai mujhe aansuon ki mala
teri zulf ho do-guna tera husn ho do-baala
ye saman use dikhaun saba ja use bula la
na bahaar hai na saqi na sharab hai na pyala
mere dard ki haqiqat koi mere dil se puchhe
ye charagh wo hai jis se mere ghar mein hai ujala
use anjuman mubarak mujhe fikr-o-fan mubarak
yahi mera takht-e-zarrin yahin meri mirg-chhaala

30624 viewsghazal • English