jahan hai chhat meri dar bhi wahin nikalta hun
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
jahan hai chhat meri dar bhi wahin nikalta hun
main apne qadmon se apni zamin nikalta hun
khadi hai phir koi diwar mere raste mein
lahuluhan main phir se jabin nikalta hun
ye sanp mere gale se lipatne lagte hain
main apne kurte se jab aastin nikalta hun
zamana ho gaya tu ne jise giraya tha
main us makan se ab tak makin nikalta hun
zalil kar mujhe lekin bahut zalil na kar
ye zahr main bhi to ja kar kahin nikalta hun
ai bambai main tujhe warta hun tujh par hi
jo tu ne mujh ko diya hai yahin nikalta hun
nadi bhi aaj akeli hi bahna chahti hai
to aaj main bhi ye kashti nahin nikalta hun

27740 viewsghazal • English