jahan jahan par darwaza tha wahan wahan diwar hui
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
jahan jahan par darwaza tha wahan wahan diwar hui
kuchh to faza-e-kucha-e-jaanan apne liye hamwar hui
tere 'alawa kise bataen samjhe kaun ki tere baghair
aur ek raat aaram se soe aur ek raat udhaar hui
ek kashti ka bojh hai gahri nind se bojhal lahron par
dil mein dariya par utarne ki khwahish bedar hui
aao mil ke du'aen mangen apne khet ujadne ki
ab ke ghar ghar aag bategi fasl agar tayyar hui
dekh ‘ibaadat-gah ke darwaze par bhid faqiron ki
itna chale aur ek qadam ki masafat in par bar hui
in paudon ko kis dariya ke pani ne sairab kiya
ek hi phul mein rang se khushbu sat samundar par hui
aaj na jaane kya guzregi tanha sone walon par
ek jade ki raat upar se barish musla-dhaar hui

99169 viewsghazal • English