jahan jahan par qadam rakhoge tumhein milegi wahin udasi

jahan jahan par qadam rakhoge tumhein milegi wahin udasi
ye raaz kuchh is tarah samajh lo makan mera hai makin udasi

samay ki aankhon se dekhiye to har ek khandar mein chhupe milenge
kahin pe bachpan kahin jawani kahin budhapa kahin udasi

mere shabistan ke pas koi buri tarah kal sisak raha tha
main us ke sine se lag ke bola nahin udasi nahin udasi

badhai chahkin duaen gunji tamam chehre khushi se jhume
qubul hai tin bar boli jab ek parda-nashin udasi

bichhadne wale bichhadte time na kah sake kuchh na sun sake kuchh
bas ek photo mein qaid kar li gai bala ki hasin udasi

shafiq suraj khamosh pani magar abhi bhi kami hai kuchh kuchh
'charagh'-sahab ke sher padh kar karen mukammal hamin udasi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close