jahan ke ruKH pe agar khiDkiyan banate hum

By hamida-shahinOctober 31, 2020
jahan ke rukh pe agar khidkiyan banate hum
to sirf sans ki aasaniyan banate hum
pahan pahan ke dikhane ko dher lag jata
ye shor kat ke tanhaiyan banate hum


koi to khwab ke us par bhi pahunch jata
zara sa jagte aur kashtiyan banate hum
hamare shahr mein hoti na rasm-e-sang-zani
to canwas pe hari beriyan banate hum


sadak banate hue tum kuchal na jate hamein
mohabbaton se bhari gadiyan banate hum
ye thos mein bhi azanon se aashna hoti
agar uthan mein kuchh jaliyan banate hum


tabhi gul-o-samar-o-saya ki sanad milti
zamin ko padhte hue kyariyan banate hum
dilon mein taza hawa ki chalat-phirat rahti
tassubaat mein rahdariyan banate hum


jahan-bhar ko rihaish ki aarzu hoti
ba-tarz-e-wasl teri duriyan banate hum
ninanwe pe jame sanp se nimat lete
tere liye to faqat sidhiyan banate hum


91394 viewsghazalEnglish