jahan ki bhiD mein yakta dikhai deta hai

By puja-parastishFebruary 28, 2024
jahan ki bhid mein yakta dikhai deta hai
wo ek shakhs jo pyara dikhai deta hai
kabhi wo chand zamin ka mujhe hai aata nazar
kabhi wo aaina rab ka dikhai deta hai


wo khamushi bhi hai sunta meri sada ki tarah
wo ruh bhar se shanasa dikhai deta hai
wo saz-e-hasti ki chhidti hui koi sargam
lab-e-hayat ka bosa dikhai deta hai


30730 viewsghazalEnglish