jahan mein aise kuchh insan bhi hain
By basir-tonkiJanuary 2, 2024
jahan mein aise kuchh insan bhi hain
ki jin se sar-nigun tufan bhi hain
dubo kar dur sahil par khade hain
tamasha ban ke khud hairan bhi hain
bure kaamon ka dete mashwara hain
yahan insan-numa shaitan bhi hain
khala mein taqaten do hain muqabil
tabassum-rez kuchh tufan bhi hain
na parwane jala ai sham'-e-mahfil
adab kar ye tere mehman bhi hain
ta'alluq un se ulfat mein hai mushkil
ki wo bhule bhi hain anjaan bhi hain
karam un ke ginaun ab main kya kya
jafaon ke bahut 'unwan bhi hain
khuda ka fazl kya kam hai ye 'basir'
ki ab hum sahib-e-diwan bhi hain
ki jin se sar-nigun tufan bhi hain
dubo kar dur sahil par khade hain
tamasha ban ke khud hairan bhi hain
bure kaamon ka dete mashwara hain
yahan insan-numa shaitan bhi hain
khala mein taqaten do hain muqabil
tabassum-rez kuchh tufan bhi hain
na parwane jala ai sham'-e-mahfil
adab kar ye tere mehman bhi hain
ta'alluq un se ulfat mein hai mushkil
ki wo bhule bhi hain anjaan bhi hain
karam un ke ginaun ab main kya kya
jafaon ke bahut 'unwan bhi hain
khuda ka fazl kya kam hai ye 'basir'
ki ab hum sahib-e-diwan bhi hain
69432 viewsghazal • English