jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai

By zafar-iqbalNovember 27, 2020
jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai
wahin pe raat sitaron ka khel haarti hai
shab-e-visal tere dil ke sath lag kar bhi
meri luti hui duniya tujhe pukarti hai


shumar-e-shauq mein uljhi hui shua-e-nazar
hazar ruthte rangon ke rup dhaarti hai
ufuq se phutte mahtab ki mahak jaise
sukun-e-bahr mein ek lahar si ubhaarti hai


pas-e-daricha-e-dil yaad-e-bu-e-ju-e-nashat
na jaane kab se khadi kakulen sanwarti hai
dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun
to yas rauzan-e-zindan se aankh marti hai


jahan se kuchh na mile husn-e-mazarat ke siwa
ye aarzu usi chaukhat pe shab guzarti hai
jo ek jism jalati hai barq-e-abr-e-khayal
to lakh zang-zada aaine nikhaarti hai


65229 viewsghazalEnglish