jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin
By waqar-khanNovember 24, 2020
jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin
main us zamin pe panw bhi rakhne wala nahin
main us darakht ke andar tha jis ko kata gaya
kisi ne bhi to wahan se mujhe nikala nahin
wo apne ahd se aage ki baaten karne laga
bahakte shakhs ko duniya ne phir sambhaala nahin
har ek chot pe kuchh aur judne lagta tha
so us ne mujh ko kisi shakl mein bhi dhaala nahin
ajib khauf mein parwan chadh rahi hai ye nasl
kisi ke hath mein bhi zahr ka piyala nahin
ab apni sanson se zanjir todni hai mujhe
ki hath bechne ka aur kuchh izala nahin

76444 viewsghazal • English