jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li

jahan pe sab ke zamiron ne khud-kushi kar li
wahan pe meri dalilon ne khud-kushi kar li

tumhaare lahje mein talkhi ki tab la na sake
zaban pe aate hi lafzon ne khud-kushi kar li

hua hai zabt pe bhaari jab apne gham ka bojh
nikal ke aankh se ashkon ne khud-kushi kar li

maashre mein wo uryaniyat ka aalam hai
ye lag raha hai libason ne khud-kushi kar li

jo masnadon se kisanon ka chuste the lahu
batao un ko kisanon ne khud-kushi kar li

ek aaftab chamakne laga to ghabra kar
yahan pe kitne charaghon ne khud-kushi kar li

diya hai dars mohabbat ka main ne jab 'bismil'
lahu ke pyase riwajon ne khud-kushi kar li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close