jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai meri tarah se akela dikhai deta hai na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho shajar pe ek hi patta dikhai deta hai bura na maniye logon ki aib-jui ka unhen to din ka bhi saya dikhai deta hai ye ek abr ka tukda kahan kahan barse tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai wahin pahunch ke giraenge baadban ab to wo dur koi jazira dikhai deta hai wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai meri nigah se chhup kar kahan rahega koi ki ab to sang bhi shisha dikhai deta hai simat ke rah gae aakhir pahad se qad bhi zamin se har koi uncha dikhai deta hai khili hai dil mein kisi ke badan ki dhup 'shakeb' har ek phul sunahra dikhai deta hai