jaib o gareban tukde tukde daman ko bhi tar kiya kaise kaise hum ne apni wahshat ka izhaar kiya tauq-o-salasil hum ne pahne khud ko supurd-dar kiya hum khud apni jaan se guzre tab tera didar kiya khun-e-jigar aankhon se bahaya gham ka sahra par kiya teri tamanna ki kya hum ne jiwan ko aazar kiya ranj-o-alam ki basti mein hum ab tak tanha tanha hain tum se thi ummid-e-wafa so tum ne bhi inkar kiya husn wafa khuddari ghairat har ek ki nilam hui hum logon ne aakhir ek din basti ko bazar kiya rah-e-amal mein bazi aakhir ek din tum hi jit gae hum ne wafa ek bar agar ki tum ne sitam sau bar kiya hum to 'zafar' har aan usi ke gham mein dube rahte hain jis ne gham ki daulat bakhshi hum pe bada upkar kiya