jaise KHamosh-bayani ko bayan hone mein

By ali-tasifJune 3, 2024
jaise khamosh-bayani ko bayan hone mein
'umr lagti hai yahan zamzama-khwan hone mein
itna aasan na samajh jaan nikal jati hai
rah-e-pur-khar pe is tarh rawan hone mein


aankh khulte hi sukut-e-shab-e-hijran ne kaha
ek lamha hai bahut khwab dhuan hone mein
kin marahil se guzarta hua pohncha hai yahan
zabt se puchh jo guzri hai fughan hone mein


is se behtar tha ki taslim na hona karta
khud ko be-sarfa kiya sarf-e-jahan hone mein
zindagi bit gai jis ko banate hue ghar
ek lamha na laga us ko makan hone mein


aur kuchh der mein suraj bhi nikal aaega
aur kuchh der hi baqi hai azan hone mein
41636 viewsghazalEnglish