jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

By majrooh-sultanpuriNovember 4, 2020
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale


hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi
wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale


hua asir koi ham-nawa to dur talak
ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale
bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa
agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale


phir aai fasl ki manind barg-e-awara
hamare nam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale


bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale
88791 viewsghazalEnglish