jali hain dard ki shaMein magar andhera hai

By farooq-bakshiOctober 30, 2020
jali hain dard ki shamen magar andhera hai
kahan ho kuchh to kaho dil bahut akela hai
ye kaisa zahr fazaon mein bhar gaya yaro
har ek aadmi kyun is qadar akela hai


mere nasib mein kab hai ye raushni ka nagar
mare liye to yahan har taraf andhera hai
jalae rakhna diye pyar ke main aaunga
mujhe tumhaari wafa par bada bharosa hai


chamak uthe meri palkon pe yaad ke jugnu
ye kis ne pyar se phir aaj mujh ko dekha hai
kahan kahan main use dhundhta raha 'faruq'
jo meri ruh ki gahraiyon mein rahta hai


81513 viewsghazalEnglish