jalsa nahin julus nahin shairi nahin

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
jalsa nahin julus nahin sha'iri nahin
haalat hamari phir bhi kisi se chhupi nahin
paigham se 'ilaj na kar aa ke nabz dekh
sansen mili hui hain magar zindagi nahin


bola bigad ke wo mere israr-e-wasl par
main ne kaha nahin to samajh waqa'i nahin
kal raat wo yaqin dila hi gaya mujhe
is zindagi ke ba'd koi zindagi nahin


duniya ke sab khudaon ka jamm-e-ghafir tha
bande ki ek 'arz kisi ne suni nahin
khud hi kaha karo meri ta'rif she'r mein
khud hi kaha ki ye to koi sha'iri nahin


17337 viewsghazalEnglish