jalsa ye taziyat ka abhi multawi rakhen
By farhat-ehsasFebruary 26, 2024
jalsa ye ta'ziyat ka abhi multawi rakhen
yunhi zara si der ko bas mar gaya hun main
ghar par mere ye bhid yunhi be-sabab nahin
mujh ko ye lag raha hai ki kuchh kar gaya hun main
mera badan hai ye ki hai godam ruh ka
khali karo mujhe ki bahut bhar gaya hun main
kuchh aur behtari ka bhi imkan tha pa khair
aaya tha jitna us se to behtar gaya hun main

20529 viewsghazal • English