jalson mein guzarne lagi phir raat tumhaari is bhid mein jati na rahe baat tumhaari hai jalwa-gar-e-dair-o-haram zat tumhaari thahri hai do amla mein mulaqat tumhaari jalwa sifat-e-shama hai gardan se kamar tak kis nur ke sanche mein dhali gat tumhaari khole hue gesu na dikhae mujhe surat mehman mere ghar na hue raat tumhaari pacchisi bahut khelti ho ghair se ai jaan kaudi ki na ho jae kahin baat tumhaari aankhon mein nahin silsial-e-ashk shab-o-roz tasbih padha karte hain din raat tumhaari katwa ke mere dast-e-tamanna ko wo bole do hath ghati aaj mulaqat tumhaari farmate hain hans hans ke mujhe dekh ke giryan le dubegi aakhir tumhein barsat tumhaari masti jo laga kar mujhe baaton mein udao ud jae dhuan ban ke ye zulmat tumhaari pamalon ki aankhon mein subuk mujh ko na karna darta hun ki halki na pade baat tumhaari kahte hain taghaful se mujhe zahr khila kar in rozon bahut talkh hai auqat tumhaari jo kuchh kaho bar-aks koi kah nahin sakta kya tab hai ulte jo koi baat tumhaari kahta hun ki bosa bhi mila jaan bhi pai wada na karo khair inayat tumhaari aankhon mein bhi sine mein bhi dil mein bhi tumhin ho kis parde mein poshida nahin zat tumhaari huron mein hua karti hain taqrir ki naqlen dar hai na bigad jae kahin baat tumhaari pahna ke kafan khak ke parde mein chhupaya duhre diye khilat ye inayat tumhaari honton se jo phir jati hai munh ki taraf ai jaan kya nashshe mein bahki hui hai baat tumhaari ki qata abas zulf na tha koi giraftar tanha rahe be-lutf kati raat tumhaari bad-go ho ye afsana rahe ahl-e-jahan mein qissa ho bigad jae agar baat tumhaari zakhm ek katari ka inayat nahin hota kaudi koi milti nahin khairaat tumhaari uljha hai magar zulf mein taqrir ka lachchha suljhi hui hum ne na suni baat tumhaari allah re safa munh nazar aata hai badan mein aaina hai ai jaan karamat tumhaari farmaishon ka bojh raqibon se na uttha sad shukr ki halki na hui baat tumhaari shirin se na ho dil kahin farhad ka khatta darta hun ki shirin hai bahut baat tumhaari kya sher mazedar 'munir' aaj padhe hain har baat mein eajaz hai kya baat tumhaari