jalti bujhti hui shamon ka dhuan rahta hai kuchh ajab dhund ke aalam mein makan rahta hai khushk dariya hai na dariya pe hai pahra lekin har taraf pyas ka khun-rang saman rahta hai is bhare shahr mein mushkil hai tajassus us ka kis ko fursat jo kahe kaun kahan rahta hai bhulna sahl nahin waqt ki sangini ka zakhm bharta hai magar us ka nishan rahta hai meri aaankhon mein hain sad-rang manazir lekin kuchh hai madum jo ehsas-e-ziyan rahta hai nind aati hai kahan ujde makan mein 'shahid' koi aaseb ka har raat guman rahta hai