jalwa-e-nau-bahaar ne lut liya luta diya gesu-e-mushk-bar ne lut liya luta diya bazm mein kah ke haal-e-dil un ko kya hai muzmahil dida-e-ashk-bar ne lut liya luta diya hae wo dil-farebiyan husn-e-nazar-fareb ki jalwa-e-husn-e-yar ne lut liya luta diya pursish-e-gham pe hath se daman-e-zabt chhut gaya mehr-e-nigah-e-yar ne lut liya luta diya un ki nazar ki kya khata dil se hua qusur-e-shauq apne hi raaz-dar ne lut liya luta diya hae wo chashm-e-nargis-e-jam-e-sharab-e-atishin gardish-e-chashm-e-yar ne lut liya luta diya aae bhi ya na aae ab mujh ko gharaz bahaar se kaif-e-gham-e-bahaar ne lut liya luta diya dawar-e-hashr ke huzur shikwe zaban pe ruk gae dida-e-sharmsar ne lut liya luta diya aah-e-jigar-khrash se nazm-e-jahan badal diya 'khalid'-e-dil-e-figar ne lut liya luta diya