jalwa-saman rukh-e-jaanan na hua tha so hua zarra zarra mah-e-taban na hua tha so hua kuchh to pahle se hi afsurda the ahl-e-gulshan kuchh ye gham khun-e-bahaaran na hua tha so hua main ne dekha hai teri kam-nigahi ka anjam aashna-e-gham-e-dauran na hua tha so hua ye inayat ye tera jud-o-karam hai ki mujhe shikwa-e-tangi-e-daman na hua tha so hua allah allah mai-o-mina ka asar bhi kya hai kuchh ilaj-e-gham-e-dauran na hua tha so hua ye tere sher tera husn-e-taghazzul 'asad' tere sheron se jo shadan na hua tha so hua