jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain mujh se kahan chhupenge wo aise kahan ke hain khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hain kya phutne ke waste chhaale zaban ke hain karte hain qatl wo talab-e-maghfirat ke baad jo the dua ke hath wahi imtihan ke hain jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-khak us roz se zamin pe sitam aasman ke hain bazu dikhae tum ne laga kar hazar hath pure pade to wo bhi bahut imtihan ke hain naseh ke samne kabhi sach bolta nahin meri zaban mein rang tumhaari zaban ke hain kaisa jawab hazrat-e-dil dekhiye zara paigham-bar ke hath mein tukde zaban ke hain kya iztirab-e-shauq ne mujh ko khajil kiya wo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain aashiq tere adam ko gae kis qadar tabah puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain har-chand 'dagh' ek hi ayyar hai magar dushman bhi to chhate hue sare jahan ke hain