jam Takrao waqt nazuk hai

By saghar-siddiquiApril 21, 2024
jam takrao waqt nazuk hai
rang chhalkao waqt nazuk hai
hasraton ki hasin qabron par
phul barsao waqt nazuk hai


ek fareb aur zindagi ke liye
hath phailao waqt nazuk hai
rang udne laga hai phulon ka
ab to aa jao waqt nazuk hai


tishnagi tishnagi are tauba
zulf lahrao waqt nazuk hai
bazm-e-'saghar' hai gosh-bar-awaz
kuchh to farmao waqt nazuk hai


58584 viewsghazalEnglish