jam tha KHum tha subu tha majma-e-ahbab tha

By hashim-azimabadiOctober 31, 2020
jam tha khum tha subu tha majma-e-ahbab tha
shaikh ka in sab mein chehra kis qadar shadab tha
main ne dekha raat meri god mein mahtab tha
aap hi tabir us ki den ye kaisa khwab tha


qais diwana tera ai laili-e-mahmil-nashin
teri surat dekhne ko kis qadar betab tha
wo quli tha ya tha koi kath ka ullu murid
pith par lade hue jo shaikh ka asbab tha


us ne ye achchha kiya jo aqd hi padhwa liya
dil muridan ke liye jab surat-e-simab tha
kyun na dadhi apni karta jumbish-e-razor ki bhent
khanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbab tha


raat bhar main ne sanwari zulf-e-laila-e-ghazal
sher ki aamad thi 'hashim' ya koi sailab tha
75041 viewsghazalEnglish