jang mein jaega ab mera hi sar jaan gaya aur hoga na koi sina-sipar jaan gaya mujh shanawar ko dubo sakte nahin donon harif main bhi tufan ka dariya ka hunar jaan gaya unchi parwaz ki himmat bhi to kar le kargas lakh shahin ka andaz-e-safar jaan gaya aaj talwar hui jati hain shakhen us ki jang honi hai hawaon se shajar jaan gaya is ke aangan mein bhi mitti ke siwa kuchh bhi nahin chand ke ghar mein jo pahuncha to bashar jaan gaya