jangal uga tha hadd-e-nazar tak sadaon ka dekha jo mud ke naqsha hi badla tha ganw ka jismon ki qaid tod ke nikle to shahr mein hone laga hai hum pe guman dewtaon ka achchha hua tahi hain zar-e-bandagi se hum har mod par hujum khada hai khudaon ka sahra ka khar khar hai mahrum-e-tishnagi kitna sitam zarif wo chhaala tha panw ka sar rakh ke hum bhi raat ke patthar pe so gae hum ko bhi ras aaya na tesha wafaon ka beganagi se mujh ko na yun dekhiye ki main hissa hun aap hi ke dariche ki chhanw ka deta hai kaun dil ke kiwadon pe dastaken ye kaun rup dhaar ke aaya hawaon ka 'farigh' ghubar-e-rah ko tahqir se na dekh paighambar-e-bahaar hai mausam khizaon ka