jangalon ka na hi baghat ka pala hua hai

By akhtar-hashmiApril 22, 2023
jangalon ka na hi baghat ka pala hua hai
ye kabutar to mere hath ka pala hua hai
amn ka ye jo parinda hai aman mein meri
ye meri niyyat-e-isbaat ka pala hua hai


jis ko bhi dekhiye wo qaht ka lagta hai shikar
jabki ye qaht bhi barsat ka pala hua hai
soz to is mein nahin hai magar ek huk si hai
dil ka ye zakhm to khadshat ka pala hua hai


main ghalat ho nahin sakta hun kisi bhi surat
ye tasawwur hi khurafat ka pala hua hai
har samajhdar use shaikh samajhne lag jae
har ghulam aisa jo sadat ka pala hua hai


jaane kaise ye samajh leta hai dil ki halchal
kya mera zehn ishaaraat ka pala hua hai
aaj usi zahr ko pina hai tumhein bhi 'akhtar'
han wahi zahr jo suqraat ka pala hua hai


50572 viewsghazalEnglish