jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha yar ke pahlu mein khali meri ja thi main na tha us ne kab barkhast ai dil mahfil-e-mearaj ki kis se puchhun raat kam thi ya sawa thi mein na tha main tadap kar mar gaya dekha na us ne jhank kar us sitamgar ko aziz apni haya thi main na tha wada le leta ki khilwana na mujh ko thokaren aalam-e-arwah mein jis ja qaza thi main na tha sarf karta kis khushi se ja ke us mein apni khak kya kahun jis din banai karbala thi main na tha munh na khul sakta na hote ham-kalam un se kalim umr bhar hasrat hi rahti baat kya thi main na tha le gai thi mujh ko hasrat jaanib-e-khud-raftagi jis taraf ko manzil-e-bim-o-raja thi main na tha dil ulat jata mera ya dam nikal jata mera shukr hai jab lan-tarani ki sada thi main na tha lala-o-gul ko bacha leta khizan se ai 'sharaf' bagh mein jis waqt nazil ye bala thi main na tha