jata na mere tain apna tu hunar waiz tu apne feal se munh apna khak bhar waiz nasihat auron ko karta hai chadh ke mimber par magar nahin hai tere dil pe kuchh asar waiz zaban pe waz hai aur dil tera hai istighlaz ba-waz-e-behuda mat bandh tu kamar waiz amal ba-waz kar apne ba-sidq-o-dil warna tu apne haal ko dekhega dar-hashar waiz badha ke rish ko apni bhi jun dum-e-taus ye kis khayal pe bhula hai abla-khar waiz khuda karim hai chahega jis ko bakhshega kisi pe tan ki angusht tu na dhar waiz tu apne waz pe waiz na bhul sach hi nahin ki raaz-e-ishq se tere tain khabar waiz muqabla ba-bahas mat kar ahl-e-rindan se ki jis mein aap ke ho rish ka zarar waiz kalam-e-be-namak-o-be-asar se tu apne kharab mat kare khilqat khuda se dar waiz yahan wahan pe tujhe gar najat hai manzur kisi faqir ke qadmon par sar ko dhar waiz tu kahiyo pir-e-mughan se salam 'afridi' agar ba-ku-e-kharabaat ho guzar waiz