jaun main us nigar par qurban us salone singar par qurban jin dilan ke dalan kun dil bhanjan sar mera us sawar par qurban jin dhatura de dil churai mera us daghabaz nar par qurban jag munje bolta ki tu gyani ki hua us ganwar par qurban munjh se aashiq kun bul-hawas kahte ishq ke karobar par qurban dil-baran ki to dosti malum aashiqan ke qarar par qurban yak bala dur dusri ban ka 'bahri' apni bahaar par qurban