jaun phir usko manane ke liye

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
jaun phir us ko manane ke liye
kuchh nai qasmen hain khane ke liye
kuchh latife se ziyaada chahiye
baithe-baithe muskurane ke liye


bas zara si dhup mil jati hamein
apne gile par sukhane ke liye
ye jo ab rote hain ghar ki yaad mein
mar rahe the sath aane ke liye


ek sathi hosh mein rakkha gaya
wapsi mein ghar batane ke liye
dushmanon ko ghar pe le kar aa gae
apni tayyari dikhane ke liye


hosh thoda sa bacha leta hun main
wapsi mein ladkhadane ke liye
11934 viewsghazalEnglish