jawan sitaron ko gardish sikha raha tha main kal us ke hath ka kangan ghuma raha tha main usi diye ne jalaya meri hatheli ko ki jis ki lau ko hawa se bacha raha tha main tamam gopiyan masruf thin numaish mein akela khet mein bansi baja raha tha tha main ye baat dhup ko shayad bahut kharab lagi sulagti ret pe baadal bichha raha tha main