jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki nasib hote hi chaudhwin shab shikoh rukhsat hui qamar ki wo shokh chitwan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahin na kam ki kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki tera hi duniya mein hai fasana tera hi shaidai hai zamana tere hi gham mein huin rawana nikal ke ruhen khudai bhar ki na aasman hai na wo zamin hai makan nahin wo jahan makin hai payambaron ka guzar nahin hai rasai hai mere nama-bar ki khincha jo tul-e-shab-e-judai andheri madfan ki yaad aai nigah o dil par wo yas chhai umid jati rahi sahar ki jo ishq-bazon ko aazmaya laga ke chhuriyan ye qahr dhaya yahan yahan tak lahu bahaya ki naubat aai kamar kamar ki gire jo kuchh surkh gul zamin par kaha ye bulbul ne khak uda kar hua hai wada mera barabar ye suraten hain mere jigar ki maqam-e-ibrat hai aah ai dil khuda hi ki hai panah ai dil nahin hai kuchh zad-e-rah ai dil adam se takid hai safar ki ye hum ne kaisa safar kiya hai musafiron ko rula diya hai ajal ne aaghosh mein liya hai khabar bhi hum ko nahin safar ki wo jald ya-rab inhin ko take laga de do tir in par aa ke ye donon rah jaen phadphada ke main dekhun lashen dil o jigar ki kisi ka mashuq chhutta hai sahar ka waqt us ko lutta hai koi ye sine ko kutta hai nahin hai aawaz ye gajar ki khicha hai zartar shamiyana gulon se aati hai bu shahana dikha ke qudrat ka karkhana lahad ne hasrat bhula di ghar ki ghashi ka aalam wo zor par hai mizaj-e-sehhat se be-khabar hai dawa ka ghaflat-zada asar hai khabar dawa ko nahin asar ki shabab ne khud-numa banaya ye naz-e-khushrui ne jataya haya mein jis waqt farq aaya to un ke mukhde se zulf sarki hua hun chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai meri ye surat kisi taraf ko hai dil ki turbat kahin hai turbat mere jigar ki jo us ne zid ki to aafat aai duhai dene lagi khudai qayamat us bewafa ne dhai idhar ki duniya 'sharaf' udhar ki