jazb kuchh titliyon ke par mein hai

jazb kuchh titliyon ke par mein hai
kaisi khushbu si us color mein hai

aane wala hai koi sahra kya
gard hi gard rahguzar mein hai

jab se dekha hai khwab mein us ko
dil musalsal kisi safar mein hai

chhu ke gadi baghal se kya guzri
be-khayali si ek nazar mein hai

main bhi bikhra hua hun apnon mein
wo bhi tanha sa apne ghar mein hai

raat tum yaad bhi nahin aae
phir udasi si kyun sahar mein hai

us ki khamoshi gunjti hogi
shor barpa jo dil-khandar mein hai

hath sar par wo shakhen rakhti hain
koi apna sa us shajar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close