jazba-e-shauq ko is taur ubhaara jae hum jidhar jaen udhar un ka nazara jae aapsi rishton ki khushbu ko koi nam na do is taqaddus ko na kaghaz par utara jae saikdon nam tere aur hain be-nam bhi tu kaun se nam se ab tujh ko pukara jae raqs karti hai lahakti hai ajab masti mein kashti-e-dil ke bhanwar mein jo utara jae meri ghairat ko kisi taur gawara hi nahin tang-dasti mein bhi hath apna pasara jae dil ke soe hue armanon ne angdai li zindagi aa tujhe shishe mein utara jae subh-e-raushan ko to aana hai wo aaegi zarur is bharose pe shab-e-gham ko guzara jae aaina dekh ke nahaq ye bigadna kaisa gard aaine pe hai us ko utara jae apne purkhon ki inayat ki tazim karo ye hai wo qarz jo sadiyon na utara jae aaj ke daur mein wajib hai yahi 'chand' ki hum sath den us ka jidhar waqt ka dhaara jae