jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo ku-ba-ku raushan charag-e-karwan karte chalo chashm-e-saqi pur-tabassum mai-kada bahka hua aao qismat ko harif-e-kahkashan karte chalo chhin lao aasman se mehr-o-mah ki azmaten aur tute jhonpadon ko zau fashan karte chalo zindagi ko log kahte hain barae-bandagi zindagi kat jaegi zikr-e-butan karte chalo jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru ishq ki rahon mein kuchh aise guman karte chalo har nafas ai jine walo shaghl-e-paimana rahe be-khudi ko zindagi ka pasban karte chalo chhed kar 'saghar' kisi ke gesuon ki dastan in shagufon ko zara shoala-zaban karte chalo